Thursday, May 1, 2014

Patang Bankar Jo Seekha

Kal jo waqt ki aandhi aayi thi, usme kati patang bankar jo
Main toot raha tha aasman se, us jameen par girne ki jaddo jehed me ye bhool gaya tha ki
Wo jo aaj dhoondta hoon wo kal bhi yahin tha aur parso bhi

Pehle udte hue sochta tha ki udte hi jaunga bas, ki ek din hawa ki bhi na manunga
Par aaj bas ek aas hai ki girte girte us ghar ke aas paas hi kahin giru aese ki
Wo na bhi hoga aangan me baitha, par wo kal ki kuch baateen hain khud se dohrane ko, wo hi sahi

Sochta tha ki ek din main hi udunga bas, baki sab ko chhod dunga neeche
Ek din to hadd kardi thi, sab ko chakkar dekar gira diya tha girne ke liye peeche
Par aaj palat kar dhoondta hoon ki phati peeli si hi sahi, par ek patang aur hoti to aasmaan ka rang kuch aur hota

Ab samajhta hoon kyun wo gale me haath daal ghooma karte they
Rona husna gana muskrana kiya karte they
Kyunki wo jo kal tha, jisko aaj dhoondta hoon, wo aaj hai nahi, wo kal bhi na hoga aur na parso hoga
Bas ab wo kuch yaadeen hain gehri par dhundli si, wo jo kal bhi thi aur aaj bhi hain aur parso bhi hongi